चुप्पी तोड़ो अधिकार मांगो 3.09

Nagpur, 440008
India

About चुप्पी तोड़ो अधिकार मांगो

चुप्पी तोड़ो अधिकार मांगो चुप्पी तोड़ो अधिकार मांगो is a well known place listed as Non-profit Organization in Nagpur , Organization in Nagpur ,

Contact Details & Working Hours

Details

Viklang jano ko aarakshit bogi di gayi hai Jo ki samne hoti hai ya engine ke paas luggage bogi ke pass.
Govt ne ticket me bhi concession di hai jisme hum govt ka aur railway prashan ka sukriya ada karte hai.
Viklang vyakti ko viklang bogi tak pahochne me kai taklifo ka saamna karna padta hai
Kbhi kbhi to aisa bhi hota ki viklang bogi ko dekhte hue last me pahocho to pata chalta hai vo pehle hai ti is wajha se viklang vyakti ko doguna chlana padta hai agar vaha wheel chair,battery car na ho to.
Viklang aarakshit bogi ko center me laya jaye taaki viklang vyakti ko jyada chalna na pade aur aaram se viklang bogi tak pahoch sake
Aur viklang bogi se utar kar bhi aaram se bahar nikal sake.
Chuppi Todo Adhikaar maango
Is muhim ke tahat hum kuch badlav ki aasha rakhte hai.taaki sharirik durbal hamare bhai bahen ko kisi pareshani na jhujhna pade aur unka safar surakshit aur sukhmay ho.
1-Ticket counter
Viklang vyakti ke liye alag se ticket counter ho jiski uchai jyada na ho taaki viklang vyakti aaram se bina bheed ke aur surakshit tarike se ticket le sake.
2-traveling asset
Har railway station par battery Car,wheelchair escalator aur lift ki suvidha ho
Taki agar platform dur ho to in sabke zariye pahoch sake.
3-Viklang aarakshit bogi
Viklang aarakshhit bogi ko beech me lagaya jaye.
Viklang aarakshit bogi ke rang me badlav kiya jaye taki vo sabhi ko pehchan me aaye aur dhundne me pareshani na ho.
Viklang aarakshit bogi ko kuch is tarha se design kiya jaye ki viklang vyakti agar jyada taklif me ho to wheelchair ke sath andar ja sake.
Viklang aarakshit bogi ki jagha badaya jaye.
Viklang aarakshit bogi ke bathroom ko viklaang jan ke hisab se banaya jaye .
4-Security
Har railway station par viklang bogi me jakar cheking kiya jaye
Koi annya vyakti viklang bogi me na baithe is baat ka dhyan rakha jaye.
Hum chahte hai ye sari suvidha poore bharatvas se ho har railway station par chahe gao ho ya seher har jagha gunje har viklang vyakti ke chere khushi ki lehar.

OTHER PLACES NEAR चुप्पी तोड़ो अधिकार मांगो

Show more »